Cool Blue Outer Glow Pointer msg_king_mas: chand aur mein

Saturday, 8 September 2012

chand aur mein

mene chand se pucha ki mera gift kya hai,
to chand ne kaha hai koi super special sundar ehsas,
jo tumase dur baitha kar raha hai teri aas,
har pal har lamha jeene ko tere sath,
de de tu usko apna hanth...

mene chand se pucha fir uska kya hai nam,
tere labon ki pyas hai saanson ki aas hai,
tere zindagi ka jaam hai, teri bhasa me "angel" uska nam hai..

mene fir chand se pucha kaisi hai wo dikhane me,
to chand ne kaha ki uske alawa tumane koi dekha na hoga sundar,
dekhte he usko jee karega basa lu dil k andar,
seene se laga lu, dil me chupa lu,
pani me aag hai, andhere me chirag hai,
dard me marham hai, usko khone se bada na koi gum hai
ayese hai wo...

fir mene chand se pucha kya mere uske sath setting ho sakti hai,
to chand kaha, wo ayese pari hai,
tere zindagi ki anokhi kari hai,tere pyar ki lari hai,
tujhpe chaee hai, tere zindagi me samai hai,
tere uske sath setting upar se hokar aaye hai...

fir mene chand se kaha ki maine to uska dil dukhaya hai bahut,
to chand ne kaha ki murakh bebkoof,
kuch kar jaldi isse pehale wo jaye choot..

to mene kaha kya karu,
to chand ne kaha jis kadi me tum dono ho bandhe,
us kadi me jiyo jindagi se milakar kanddhe,
sun meri bat,na dega koi tera sath,
hai ek he jo hai tere dil se dil ki dhadkan,
wo he hai tere tarpan,
mana lo usko, chance do khudko...

fir mene chand se kaha ki me jeena chahta hu uski bahon me,
me urana chahta hu uski panhao me,
pyar karna chahta hu uske seene se lag kar,
umar bhar k liy umar bhar k liye....

to chand ne kaha abhi ni hui hai der ,
wo he tere zindagi ki surat hai, seerat hai, khwaish hai,
tu uske pyar ki aajmaish hai,
ni hone dena uske aazmaish ko fail..

fir mene kaha chand ko ki me use manaunga,
jee bhar k chahunga,
aitbar karunga...

to chand ne kaha ki aage kya karna hai, ye bhi mujhe batana padega kya,
to mene kaha ni aage jo karunga wo me khud he apni jaanu ko kar k bataunga.....

No comments:

Post a Comment