Cool Blue Outer Glow Pointer msg_king_mas: 03/07/13

Thursday, 7 March 2013

Sab Kuch Haar Chale

Har cheej uski lauta di,
Hum leke ni kuch sath chale,
Ab dosh na dena,

"ae_logo"

Hum dekho khali hanth chale,
Ye raah akele katati hai,
Yaha sath na koi paar chale,
Us paar na jane kya paayenge,
Is paar to sab kuch haar chale.....

#mas#

Do din ki zindagi......

Do din ki zindagi me kaise  log
Nafrat aur ladai kar lete hain,

"ae_dosto"

Sabhi se pyar karo to ye do din ki
Zindagi bhi do pal ki lagti hai.....

#mas#

Tutata Ja Raha Hu

Har lamhe k sath tutata ja raha hu,
Har pal k sath apni saanson se bichadata ja raha hu,

Koi keh do usse ki na aaye laut kar meri zindagi me kabhi,

Main to har ghadi uske bin nai maut marta ja raha hu,

Mohabbat k riwajo ko samajhta ja raha hu,

Bewafaon k rangon ko parakhta ja raha hu,

Kis mod par le aaye meri zindai mujhko,

"Ae_yaro"

Me khud apne he pairon se samshan ki taraf chalta ja raha hu....

#mas#

Mere Zindagi ki Keemat

Koi puchta hai mujhse meri zindagi ki keemat....

Mujhe yad aa jata hai tera muskurana,

Wo ek bar dekh kar tera dekhate reh jana,
Bat karte huye tera julfon ka sehlana,
Wo hawaon k din tera dupatta ud jana,
Wo barish k dino me humara bheeg jana,
Wo chalte chalte ek dam tera peeche se lipat jana,
Wo rat bhar tera baate batana,
Wo baton baton me he hasna aur hasana,
Wo zindagi k kuch palo ka ajeeb sa yaarana,
Aur phir yaad aajata hai tera wo kabhi na sath chodane ka wada,
Aur usse bhi jada yaad aata hai tera un wadon se palat jana.......

#mas#

Ek Sach

Ek roj juda ho jaunga,
Na jane kaha kho jaunga,

Tum lakh pukaroge mujhko,

par laut k main na aaunga,

Jab aate jate cheharon me,
Tum chehara mera na paoge,

Thak har k din k kamo se,

Jab rat ko sone jaoge,

Dekhoge jab phone ko,
Message mera na paoge,

TAb yaad tumhe main aaunga,

par laut k main kabhi na aaunga........

#mas#